Tổng Hợp

Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay: Home Remedies in Hindi

Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay in Hindi: Purane jamane mein doctor nhi vedh hua karte the aur vo kisi bimari ke liye kabhi allopathy dawa (medicine) nhi dete the. Tab hakim vedh ayurvedic upchar ka istemal kiya karte the. Log ghar mein istemaal hone wali chejo se hi apni bimariyo ka ilaj kar lete the jiske koi side effects nhi hote aur ilaj bhi sasta aur asardar hota hai iske sath sath ye desi nuskhe aur gharelu upay jo ki ayurveda se prerit hote hai karne me bhi aasan hote hai.

Saalo se apnayi jane wale gharelu nuskho(Home Remedies) ka paryog aap aasani se kar sakte hai. Desi gharelu nuskho ka istemaal sirf bimariyo mein hi nhi balki achi sehat ke liye bhi kiya jata hai. Rang ko gora karne se lekar balo ko sundar banane tak ke liye desi gharelu upay apnaye jate hai. Is leekh mein hum aap se dadi maa ke gharelu nuskhe aur desi gharelu upchar share kar rhe hai.

Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe

Home Remedies in Hindi

1. Ek gram sukha dhaniya, 1 gram sarpgandha, 2 gram mishri mein pees kar taaja paani ke sath khane se high blood pressure control ho jata hai. High blood pressure control karne ke gharelu nuskhe.
2. Balo ke girne ya tutne par sir mein nimbu ke ras mein nariyal ka tail mila kar halke haatho se sir ki maalish karne se baal jhadne band ho jayenge. Sath hi baal mulayam ho jayenge aur sir se dandruf bhi nikal jayegi.
3. Agar kaan me kida chla jaye to kaan me sarso ka tail bhar de. Kida bahar aa jayega.
4. Aankh me machar chla gya ho to ulte paanv piche chalna shuru kar de. Machar nikal jayega.
5. Daad par kachhe papite ka ras lagane se daad aur khujli kuch hi dino mein thik hone lagenge.
6. Agar body ka koi ang jal jaye to us par taarpin ka tail lagane se jalan kam ho jaati hai.
7. Gulukand khane se acidity me fayda hota hai. Acidity aur Pet mein Jalan ka ilaj.
8. 2 gram bhuni hui fitkari raat ko muh mein rakh kar sone se 3-4 mahine me tutlahat kam hone lagti hai.
9. Patharchatta ka 1 patta pees le aur sath mein 4 dane mishri bhi pees kar 1 cup paani ke sath khali pet piye. Pathri ka ilaaj Gharelu Nuskhe.
10. Garam doodh mein haldi daal kar peene se purani khansi thik ho jati hai.
11. Bacho ko dast lagne par thande paani mein jeyfal pees kar subh sham de.
12. Hotho par kacha doodh lagane se hotho ka kalapan door hoga.
13. Dil ki dhadkan badh jane par seb ka muraba subh khane se fayda hota hai.
14. Face par jhaiya hone par taarpin ka tail lga kar kuch der baad dho le. 30 Minute Me Apne Chehre ko Nikhare.
15. Bramhi ki patto ko pees kar subh shaam doodh ke sath lene se swapan dosh thik hota hai aur peshab bhi khool kar aata hai. Jane Swapandosh Rokne ke Upay.
16. Naak mein koi cheej fas jaye to tambacoo pees kar sunghne se chink ke sath vo chej bhi bahr aa jati hai.
17. Agar bacha raat mein bistar par peshab karta hai to ek akhrot ki giri aur kishmish raat ko sone se phle 10 din tak khilaye ya ek sukha chwara subh khali pet de.
18. Papite ki jad 6 gram pees kar 10 gram paani me ghol kar chaan le. Iss paani ko roj peene se pathri 2 din me gal kar bahar aa jayegi.
19. Santre ke ras mein namak aur kaali mirch daal kar har roj peene se najar ki kamjori door ho jati hai.
20. Face Se Daag Dhabe (Pimples) Door Karne Ke Gharelu Nuskhe In Hindi.
21. Ek gilass mithe doodh mein 5 gram beelgiri ka churan mila kar peene se khoon badhta hai aur body mein khoon ki kami door hone lagti hai.
22. Raat ko sone se phle kaali mirch pees kar muhanso par lgane se muhase thik ho jate hai.
23. Agar galti se kisi ne kaanch khaa liya ho to use uble hue aaloo khilao.
24. Hichki band na ho to pudeene ke patte ya nimbu ka ras chusiye.
25. Chote bacho ko hone wale hare peele dast mein maa ke doodh mein jayfal ghees kar dene se fayda hota hai.

26. Khooni bavaaseer mein khoon ko rokne ke liye 10-12 gram dhule hue kaale til ko taaja makkhan ke sath le. Ise lene se bhi bawaseer mein khoon aana band ho jata hai. Bawasir ke ilaaj ke gharelu nuskhe aur upay.
27. Pilli mitti ko pees kar paani ke sath leep bna kar pedu par lagane se peshaab khool kar aata hai.
28. Bacho ki saans chalne, pasli mein dard hone par sarso ke tail ko halka garm kar ke paan ke patte par lgaye aur dard wali jagah par bandhe.
29. Aanar ke chilke ko pees kar paani ke sath lene se swapan dosh thik hota hai.
30. Nimbu ke ras me ek jayfal ghees kar lene se dast khool kar hota hai.
31. Tamatar ke ras ko chehre par lagane se face ke daag dhabbe door hone lagte hai.
32. Peet mein kisi bhi tarah ka jehar chla gya ho to 1 gram rayi ka churan paani me ghol kar peene se ulti dwara jehar bahar aa jata hai.
33. Neem aur beer ke patte pees kar sir mein ragdne se kuch der baad dhone se baal lambe aur sunder hote hai. Baal sundar banane ke gharelu nuskhe.
34. Gulaab ke itar ki 1-2 boond kaan(ear) me dalne se kaan ka dard door hata hai.
35. Aankh ki funsi par loong ghees kar lagane se funsi dab jati hai.
36. Kache aam ke chilko ka kadha bana kar rakh le. Peeth me kide hone par do din tak 1 chamach peene se pet ke kide mar jaate hai.
37. Karele ke juice ko subh subh khaali pet peena chahiye. Sab se pehle do se teen karele ke beej nikaal de aur unka ras nikale. Fir usme thoda paani dale aur piye. Kam se kam 2 mahine tak ye juice subh khaali pet piye. Sugar Kam Karne Ke Gharelu Nuskhe.
38. 3 gram kalonji pees kar 1 gram makhan me mila kar chatne se hichki door ho jati hai.
39. Ek maasha khadiya mitti subh sham khane se pit ka nikalna ruk jata hai.
40. Aag se jal jaane par uss jagah par shahad lagane se fafole nhi nikalte.
41. Adrak ka ras aur shahad mila kar lagane se daant ka dard thik hota hai. Daant Dard Ka Ilaj 5 Minute Mein.
42. Pet ki charbi aur motapa kam karne ke liye har roj subh uthte hi khaali pet 1 glass gungune paani me 1 nimbu nichod kar piye aur din me ek bar nimbu ki chai piye. Motapa Kam Karne ke Gharelu Nuskhe Aur Upay.
43. Subh shoch jane se phle taanbe ke bartan me rakha hua raat ka baasi paani rojana piya jaye to kabj door hoti hai aur swapan dosh mein bhi fayda hota hai.
44. Roj subh kisi cheej ko pakad kar kuch der latakne se kad lamba hota. Kam se kam 1 saal tak ise rojana karna chahiye. Height Badhane Ke 10 Aasaan Tarike.
45. Machli ka kaanta agar gale me fans jaye to kela khana chahiye.
46. Hara dhaniya pees kar uska paani nichod kar peene se ulti ruk jati hai.
47. Asli shahad 50 gram aur dahi 100 gram mila kar roj subh khane se sehat banti hai aur sharer mein motapa aata hai. Isse ek saal tak lagatar kare. Isse dimag ki kamjori door hoti hai, face ke pimples door hote hai aur chehre ka rang saaf hota hai. Weight Badhane Ke Gharelu Nuskhe.
48. Loong ka ubla hua paani peene se bar bar lagne wali pyaas kam ho jati hai.
49. Agar bache ko peeshab na aaye to 6 gram kalmi shora thode paani mein ghole aur usme ek ruyi bhigo kar bache ke msane par rakh de. 5 minute baad bacha peshab kar dega.
50. Mor ke pank bache ke gale mein bandhne se bache ka daant chbana band hota hai aur bacha raat ko darta nhi.
51. Aam ki lakdi ka koyla barik pees 100 gram, 10 gram lahori namak, 10 gram ilaychi ka tail le aur sab ko mila kar shishi mein bhar kar rakh le. Ise ek baar daanto par lgane se daant safed hone lagte hai. Peele Dant Safed Kaise Kare.
52. D.D.T powder ko paani mein gholkar charpaiyo me dalne se khatmal mar jate hai.
53. Hazme ke liye churan – Ajwayen, kaali mirch, namak lahori, sonth, jeera-safed, moti ilaychi, dhaniya, pudeena, nosadar aur kala namak. Ye sab 10-10 gram le aur 3 gram loong le. Sab ko mila kar barik pees le. Har roj 3 gram paani ke saath lene se pet ki gas pet ka dard thik hta hai aur khana thik se hazam hota hai. Pet Mein Gas Ka Upchaar.
54. Piyeria ka gharelu ilaaj – Pilli patti wala tambacoo 100 gram le aur taave par daal kar halki aag par chamach se hilate rhe. Jab dhua nikalna band ho jaye to taave se hata baarik pees le. 15 gram lahori namak aur 5 gram kaali mirch mila kar pees le. Rojana isse apne daato par malne se khoona aana band ho jata hai. Har roj wheatgrass juice peene se bhi piyeria ki problem se rahat milti hai.
55. Face sunder bnao – Gajar ka ras, tamatar ka ras aur chukundar ka ras mila kar rojana 1 gilass 2 mahine tak peene se jhaiya, daag, muhanse door hote hai aur chehra sunder aur saaf hone lagta hai. Rang gora karne ke gharelu nuskhe.
56. Height Increase Tips in Hindi – Kabhi bhi jhuk kar na baithe aur na hi jhuk kar chale. Chalte aur baithte samay apni kamar ko seedha rakhe. Sahi tarike se bethana aur chalna lambayi badhane ke liye sab se jaruri hai. Janiye Height Kaise Badhaye.

Xem thêm :  Cách nói chuyện với con gái

57. Dengu Bukhar Ka Ramban Upchar – 1 gilaas paani mein thodi si giloy ko pees le aur usme 5-6 pattiya tulsi ki mila kar ubaal le aur ek kadha bana kar piye. Iske sath 3 chamacah aloevera ka ras paani mein mila kar har roj piye to kabhi koi bimari nhi hogi, isme papite ke 3-4 patto ka ras mila kar din me 3 se 4 baar peene se platelet ki matra jaldi se badhti hai. Ye dava dengu, swine flu aur chikanguniya me raambaan ka kam karti hai.Dengu Bukhar Mein Kya Kare.

58. Ganjapan se chutkara pane ke liye 5 chamach dahi mein 1 chammach nembu ka ras aur 2 chamach kaale chane ka paudar mila kar ise 1 ghante tak sir par laga kar rakhe. Fir uske baad sir dho le. Ise hafte mein 2 se 3 baar kare. Ganjapan Kaise Door Kare.

59. Ghutno aur jodo ka dard hone par Ashvagandha, aamalaki aur shataavari ka churan ache se mila le aur har roj subah paani ke saath le. Isse dard mein fayda milta hai, jodo ko majabooti milti hai aur agar gathiya(arthritis) ki shikayat ho to vo bhi thik hota hai. Gathiya Ka Desi Ilaj.

60. Sardi jukam mein turant aaraam ke liye din mein 2 bar shahad ke saath adarak khaye.

61. Garbhwati mahilao ke liye dadi maa ke best pregnancy care tips.

62. Agar aapko bhukh kam lagti hai to pakka hua tamatar kacha hi khaye. Bhukh badhane ke upay.

63. Agar aapke shahar ya ghar ke aaspass swine flu ki bimari badh rahi hai to apne vghar aur office ko swine flu se surakshit rakhne ke upay jarur kare. Swine flu se dur rahane ke upay.

64. Agar kisi ko lakwa(paralysis) ka attack pade to use turant 50-100 garam til ka tel halka garam kar ke pilaye aur lahasun chabane ko de. Lakwa ka Desi ilaj.

65. Mota hone aur vajan badhane ke liye diet plan ke sath excersises aur yoga rojana kare. Jane 1 mahine mein Vajan badhane ke upay hindi mein.

66. Kaale hooth(lips) gulabi karne ke liye makhan mein kesar milakar har roj hootho par lagaye. Hootho ki dekhbhaal ke liye ye gharelu nuskhe bhut asardar hai.

67. Agar motapa kam karna chahte hai to apni diet mein mirach, green tea, dry fruits, haldi shaamil kare. Jane aur kon se foods hai jinhe apne diet chart mein shaamil karke aap apna wajan 30 din mein kam kar sakte hai. 15 Weight loss food.

68. Dil ki bimariyo ka ilaj gharelu nuskhe se karne ke liye 40 gram awale ke ras mein 20 gram gajar ka ras milakar piye. Is upay se blood pressure bhi control hota hai.

69. Chehre se til aur masse saaf karne ke liye rojana aloevera gel ka sevan kare. Face se til aur masse nikalne ke gharelu nuskhe.

70. Pet mein kide hone par lassi mein ajwaine ka churan mila kar piye, isse pet ke kide mar jayenge.

71. Agar kisi ko migraine ki bimari ho to use adha sir dard hota hai jo sehan ke bahar ho jata hai, migraine mein sir ke jiss hisse mein jada dard ho us taraf ki naak mein gaay ka shudh desi ghee daalne se fayda hota hai. Jane migraine ke ilaj ke liye dadi maa ke gharelu nuskhe.

Xem thêm :  Tổng hợp 50 hình nền hoa hồng đẹp và lãng mạn nhất thế giới

72. Khansi aur cough ka upchaar home remedies se karne ke liye ajwaine ki bhaap(steam) le.

73. Gardan(neck), cervical ke dard mein ek potali mein ajwaine daal kar use taave par garam kare fir gardan par seek kare. Neck pain ke treatment ke gharelu upay.

74. Kala piliya(jaundice) ke upchaar ke liye mulli ke patto ka ras nikal kar piye. Piliya ka Desi ilaj.

75.Rojana khana khane ke baad thoda sa gud khane se kai tarah ki bimariya door hoti hai.

76. Dil ki bimariyo(heart problem) se bache rehne ke liye apne khane ko refined tel ki bajay sarso ke tel mein banaye. Dil ki bimariyo se bachne ke upay.

77. Jodo ka dard door karne ke liye lehsun ke tel mein hing aur ajwain mila kar paka le aur jodo ki maalis kare.

78. Wheatgrass juice jise hum gehu ka jvara bhi kehte hai, cancer se bachaav aur upchaar mein kafi faydemand ayurvedic nuskha hai. Cancer se Bachaav aur ilaj ke Upay.

79. Gale ka infection ya gale ki koi bimari ka ilaj karne ke liye shahad ka sevan kare.

80. Heart attack se dur rehne ke liye lauki ka juice piye aur lauki ki sabji khaye. Baba ramdev aur rajiv dixit ke bataye hue ayurveda se dil ke daure ka ilaj.

81. Amla ke ras mein shahad mila kar chatne se aankho ki roshani badhti hai.

82. Munh(mouth) se saans ki badboo aane par neem, kikar ya babul ke datun se daanto aur masudo ki safayi kare. Muh ki badboo dur karne ke gharelu upay.

83. Chamdi ke rog(skin diseases) ke treatment ke liye ajwain pees kar ek gaadha leep bana le aur skin par lagaye.

84. Nimbu ki chay(lemon tea) peene se kabz, pet ki gas aur motapa jesi samasyao se nijaat milti hai. Health Benefits of Lemon Tea in Hindi.

85. Aajkal chote bacho ki aankho par chashma lag jaata hai, aankho ki roshni tej karne ke liye akhroat ke tel se aankho ke aas pass massage kare. Is nuskhe ko aajmane se aankho ke sanraman door hote hai aur aankho ki khujli khtam hoti hai. Najar Tej karne ke Upay.

86. Har roj subh shaam ek gilass paani mein 1 chamacg seb ka sirka aur1 chamacha shahar mila kar peene se liver(jigar) ki kamjoori aur garmi dur hoti hai. Liver ko takat dene mein ye upay raambaan ka kaam karta hai. Liver ki sujan thik karne ke upay hindi mein.

87. Foode aur funsi ke ilaj ke liye ajwaine pees kar usme nimbu ka ras mila kar lagaye.

88. Chehre se kil muahnse aur pimples hatane ki liye neem ki pattiyo ko pani mein ubaal kar paani se chehre ko dhoye aur pattiyo ko pees kar ek lep bnaye aur apne chehre par lagaye. Chehre se Pimples hatane ke Gharelu Upay.

89. Per ki bimariyo se bachne aur ilaaj ke liye mulli par kala namak aur pisi hui kaoli mirch daal kar khaye.

90. Garmi mein sir dard hone par nariyal tel sir sir ki malish kare, isse sir ko thandak milegi jisse sir ke dard mein aaram milne lagega. Sir Dard ke Upchar ke Dadi Maa ke Nuskhe.

91. Aam ke patto ko pees kar ras nikal le aur halka garam kar le. Ab is ras ki 2 se 3 boonde kaan mein daale, aapki kaan dard mein foran aaram milega. Kaan Dard ka Aasan Upay.

92. Aankho mein koi infection ya fir koi sujan ho jaaye to ek catori paani me ek chammach seb ka sirka daal kar rui se aankhe saaf kare. Aankho ke Rogo ka Aasan aur Safal ilaj.

93. Pregnant women ko Normal delivery ke liye chalna firna bahut jaruri hai aur shaaririk roop se active rehna chahiye. Pregnancy Tips For Normal Delivery in Hindi.

94. Kamar dard, slip disc hone par 1/2 chammach googal gram paani ke sath din mein 2 baar le. Googal back pain se chutkara pane ka accha upay hai. Back Pain Home Remedies in Hindi.

95. Garmi se bachne ke liye Kheere ka Paani, Aam ka Panna aur Mattha ya Lassi ya Chaach (Butter Milk) ka sevan kare. Garmi Se Bachne Ke Upay.

96. Pregnant mahila ko shareer ki maaspeshiya majboot rakhne ke liye exercise, yoga aur niyamit vyayam karna jaruri hai. Isse delivery ke time bache ko pusk karne me fayda milta hai. Pregnancy Mein Baba Ramdev ke 3 Aasan Yoga Tips.

97. Bhindi mein antioxident ki maatra adhik hoti hai aur ye cancer se bachav ke liye bahut upyogi hai. Bhindi body mein cancer ki koshikao ko badhne se rokti hai.

98. Agar aap bina exercise kiye motapa kam karne ke upay karna chahte hai to green coffee ka sevan kare. Isse 1 mahine me 2 se 3 killo vajan kam kar sakenge. Green Coffee se Weight Loss ke Upay.

99. Agar aapko raat mein neend nahi aati to sone se pahle 1 glass garam doodh mein shahad mila kar piye isse anidra ka rog dur hoga. Insomnia se bachne ke upay karne bhi bahut jaruri hai isliye sone se pahle chay ya coffee ka sevan na kare.

100. Gurde (Kidney) ki bimariyo se bachne aur kidney ke upay karne ke liye har ek ghante mein paani piye. Paani pine se kidney mein maujood vishale pdarath bahar nikal jate hai. Aap nimbu paani bhi pi sakte hai isse body ko vitamine C bhi milega.

101. Malaria bukhar ke treatment ke liye nimbu garam paani mein nichod kar pine se benefit milta hai. Jane Malaria ka Ayurvedic ilaj.

102. Gas, jodo ka dard aur sharir ke tutne par giloy ke 1 chammach churan ko ghee ke sath lena chahiye.

103. Typhoid aur viral fever (Bukhar) ke ilaaj ke liye baba ramdev ki ayurvedic medicine lene se bhi aaram milta hai. Jane Viral Fever ka ilaj.

104. Agar aapko yatra karte samay ulti aati hai to yatra shuru karne se pahle 1 chammach adarak aur 1 chammach pyaaj ka ras mila kar piye.

105. Swapandosh (Nightfall) ke side effect se bachne aur swapandosh rokne ke liye rojana lehsun ki 2 kalliya lene se fayda milega. Jane Nightfall treatment in hindi.

106. Body ko healthy, fit aur active rakhne ke liye rojana subh khali pet yoga kare. Yoga shareer ko andar aur bahar dono aur se swasth rakhta hai. Health diseases aur health care ke liye daily yoga karna sab se utam hai. Jane Yoga karne ke fayde aur yoga kaise kare.

107. Gunguna paani pine se gas aur kabz jesi bimariya door hoti hai aur bhukh bhi badhti hai. Garam paani pine se shareer ke hanikarak padarath bahar nikal jate hai aur blood circulation thik rehta hai.

108. Bhukh kam karne ke liye dadi maa ke nuskhe kehte hai ki aap khane mein hari aur kali mirch ka sevan kare. Mirch bhukkh kam karti hai aur isse motapa kam karne ke upay bhi ho jate hai.

Xem thêm :  Nằm mơ thấy chuyển nhà, dọn nhà đánh con gì, báo điềm gì?

109. Man ko kabu karne aur dimag ko shant rakhne ke liye subh kuch samay meditation kare aur yoga mein pranayam kare. Kuch din mein hi aapko acha feel hone lagega.

110. Agar aap ko neend nahi aane ki problem ho rahi hai to ye bhi ho sakta hai ki aap kisi tension ki wajah se na so pa rhe ho ya fir anidra ka rog hua ho. Dono hi conditions mein aap neend aane ke upay kar sakte hai.

111. Mardana kamjori ho ya napunsakta,  iska ilaj ayurveda se karne ke liye 1 cahmmach shahad mein 1 chammach aawla churan aur 2 chammach aawle ka ras mila kar din mein 2 bar le. Is nuskhe se yonshakti badhti hai aur napunsakta ka upchar karne mein madad milti hai.

112. Dimag tej karne aur yaddasht badhane ke liye raat ki bhigi hui daal ka paste bna kar isme mishri mila de aur doodh ke sath khaye. Jin students ko mpadhai mein yaad karne mein problem hoti hai unhe ye upay rojana karna chahiye.

113. Jada tanav ke karan agar koi vyakti depression mein aa gya ho to use kabhi akela na chode aur koi bhi dawa bina doctor ki salah ke na de.

114. Thyroid ka ilaj gharelu tarike se karne ke liye hara dhaniya pees kar chatni banaye aur ek chammach chatni ek gilass paani mein mila kar piye.

115. Tulsi ke patte pees kar shahad ke sath khane se asthma ke treatment mein fayda milta hai.

116. Sharir ko swasth aur sehatmand rakhna ho to jjaruri hai body ko detox karne wale food khaye aur adhik paani piye.

117. Koi chot lag gyi ho aur ghav ho gya ho to use pahle gomutra se saaf kare aur uske baad haldi ka lep lagaye. Haldi mein antiseptic gun hote hai jo jakham ko jaldi bharne mein madad karte hai.

118. Tuti haddi jaldi jodne ke liye jaruri hai sharir mein calcium banta rahe. Calcium badhane ke liye doodh piye, doodh se bani chije khaye aur hari sabjiyo ka sevan kare.

119. Cholesterol kam karne ke liye dadi maa ke nuskhe kehte hai ki ankurit ki hui daale khaye.

120. Pet ke kide marne matlab krimi rog ka gharelu treatment karna ho to 1/2 chamach haldi ko tave par bhun kar sone se pahle khaye. Chote bacho ke pet mein keede ho to unhe pyaaj ka ras pilaye.

121. Kidney (gurde) ki bimariyo se bachne ke liye baking soda ka sevan kafi upyogi hai, isse khoon mein hone wali amalta (acidity) khatam hoti hai jo kidney ki bimariyo ki ek badi waah hai.

122. Masik dharam jise hum periods bhi kehte hai, isme mahilayo ko kafi dard jhelna padta hai, periods mein hone wale dard ko kam karne ke liye haldi wala doodh pine se aaram milta hai. Haldi ke sevan se sharir mein garmi aane lagti hai jisse mahwari mein hone wale pain mein relief milta hai.

123. Do chammach methi daana 1 glass pani mein daal ke ubaal le aur chan kar gunguna pine se appendix mein hone wale dard aur suan mein aaram milta hai.

124. Gale (throat) mein tonsils, khansi, kharash ya koi infection hua ho to iska ramban ilaj hai kachi haldi. Gale ki koi bhi pareshani ho 1/2 chammach kachi haldi ka ras gale mein dale aur kuch der muh band rakhe. Muh ki laar ke sath ye ras gale se niche chla jayega aur kuch der mein hi aaram milne lagega. Agar aap ko tonsils hue hai aur aap operation nahi karwana chahte to ye upay kar ke dekhe.

125. High uric acid control karne ke liye aawle ke ras mein thoda aloevera juice mila kar sevan kare. Nariyal paani ka sevan bhi uric acid ko kam karne mein asardar hai.

126. Bargad ki chaal 10 graam, 2 graam kali mirch aur thoda katha mila kar barik pees le aur powder bana le. Is powder se danto ko manjan karne se danto ka hilna, danto mein sadan aur badbu dur hoti hai aur dant safed hote hai. Dadi maa ke gharelu nuskhe ke is paryog se teeths ki bimariyo se bache reh sakte hai.

127. Hamare sharir ko hone wali adhiktar bimariya pet se shuru hoti hai jese pet mein kide hona, gas, acidity, kabz aur pet mein jalan. In sab mein sabse jaruri hai ki kabz (constipation) se door rahe aur pet saaf rahe, isliye aesi diet le jisse aap kabz se bache rahe.

128. Hichki rokne ke liye 10 graam raayi ko 1 glass paani mein ubaal kar ise chaan le aur gunguna rehne par piye.

129. Bawaseer ke masse par raayi ka tel nirantar paryog karne se masse murjhane lagte hai.

130. Mahilao ke dhele stano (breast) par bargad ki chaal ke barike resho ko pees kar uska lep bna le aur rojana raat ko sone se pahle is lep se apne stano par malish kare. Is ayurvedic tarike ke nirantar paryog se kuch hafto mein breast ka dhelapan door hota hai.

Ayurvedic Upchar Mein Kuch Jaruri Baate

  • Baasi maas na khaye.
  • Budhi aaurat ke sath sehwaas na kare.
  • Garbhwati aurat ke sath sehwaas na kare.
  • Raat ko faal na khaye.
  • Suray ki aur muh kar ke peshaab na kare.
  • Khana khate samay ghussa na kare.
  • Dahi aur muli ek sath na khaye.
  • Looki aur udad ki daal ek sath na khaye.
  • Machli aur doodh ek sath na khaye.
  • Bachho ke samne ashlil baate na kare.
  • Roog aur dushman ko chota na samjhe.
  • Subh jaldi uthna chahiye, jaldi uthne se sharer aur dimag dono swasth rehte hai aur umar lambi hoti hai.
  • Subh sham ghumne jarure jaye. Ghumne se sharir ki kasrat hoti hai.
  • Khana samay par hi khaye aur Bhukh se thoda kam hi khaye.
  • Bhojan me jada tar hari sabjiya aur daalo ka paryog kare.
  • Kabz se bache kyuki Kabz hone se pachan shakti kam hoti hai.
  • Taale hue bhojan se bache ye deer se pachte hai.
  • Garam doodh, chaye ya coffee pee kar turant na soyie.

Jaaniye

Dosto aap ko Desi Gharelu Nuskhe – Home Remedies in Hindi ka ye lekh kaisa laga hame jarur btaye aur sath hi apne anubhav bhi hamare sath share kare. Aur agar aap ke pass bhi dadi maa ke gharelu nuskhe aur ayurvedic upay hai to yha hmare sath share kare, aapke dawara di gayi jankari se auro ko bhi madad mil sakti hai.

Xem thêm bài viết thuộc chuyên mục: Du Lịch

Xem Thêm :   Một Vòng LITTLE SÀIGON Phố Việt ở Mỹ để thấy bóng dáng quê hương Việt Nam trên xứ người.

Xem thêm bài viết thuộc chuyên mục: Tổng Hợp

Related Articles

Back to top button